Everest

Jab insaan Everest par chad jata hai
Jeevan me maksad ka mahatva nazar aata hai

Maksad na ho to amrit bhi wish ban jata hai
Seedhi si baat ka matlab samajh nahi aata hai

Jaise dhara ki chhat ambar keh lata hai
Insaan bhi ek chhat ke tale apna jahan basata hai

Chaya to ped bhi de deta hai
Par sharan dene se hi badappan nazar aata hai

Paani jo jeevan kehlata hai
Aant ka chehra bhi ban jata hai

Aag se pawan kuch bhi nahi
Par jalne ka dard sabko darata hai

Sur aur shor me swar ka hi antar hai keval
Shor se lekin har koi peecha chudata hai

Jab kushiyon chhat ban khayal rakhti hain
Jeevan me jeevan ki umar badhti hai

© Nakul Chaturvedi, Thursday 21st May 2015

Comments

Popular Posts